Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2016

improvement

Aaj ke iss daur me aapne aksar ye suna hoga ki parivartan hi sansar ka niyam hai but kya sansar ke sath sath humare life me bhi kafi badlav huye hain but iss badlav se humari life me good think toh naa ke barbar aayi lekin bad think kafi matra me humare andar aa chuki hai. Isse ignore nahi kiya jaa sakta kyonki aaye din. Aisi ghatnaye hoti jise dekhkar sunkar humari ruh kanp jaye. Aaj ke iss bhag duar bhari zindagi me rukne ka waqt tak kisi ke pass nahi hai ya log  rukna nahi chahte. But ab samay aa gaya ki ruk kar vichar kiya jaye kyonki humare andar se logo ke prati prem, daya, vishwaas khatam hoti jaa rahi hai log ek dusre ki help nahi karna chahte jiske karan humare samaaj me buraiyaan aasmaan chhu rahi hai. Ab ye samaaj parivartan chahta hai humari soch ko badalne ki zarurat hai jab hum badalenge tabhi log badalenge aur jab log badalenge tabhi pura samaaj badalega.